Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam o Alikum mera sawal hai k faraz karain k 5 mujtahid jis ki taqleed wajib hai. un me say aik mujtahid kheta hai k namaz me Ali un Wali Allha parha karo, aik kheta hai ni,aik kheta hai k mustahib hai,,, aap guid karain k banda kis ki taqleed karay...or in 5 mujtahid me faraq ki wajha kia hai,,,,, 
Answer 1)Agar ye bat ijmalan maloom ho k darpaish masail me mujtahedeen k fatwe aik dosere se muktalif hai to zaroore hai k os mujtahid ki taqleed ki jay jo aalam ho yani apnay zamane k degar mujtahedeen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhne ki behter salaheyat rakta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) 2)Maujoda zinda mujtahideen k jin ki taqleed ki jati hay on main se kisi nay bhi namaz main tashahud k dermiyaan shahadat e salisa perhnay ki ijazat nahi di hay.kisi nay fatwa ki bunyaad per or kisi nay ehtiyaat e wajib ki bunyaad per is amal se mana fermaya hay or mubtil e namaz qaraar diya hay. 1.{Ref:Ayatullah Sistani, http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 } 2.{Ref:Ayatullah Vaheed e Khorasani, Email Rcvd from office, dated:04-12-10 } 3.{Ref:Ayatullah Ishaq Fayyaz, http://www.alfayadh.com/site/index.php?show=news&action=article&id=190} 4.{Ref:Ayatullah Hafiz Baheer Hussain Najfi,Mukhrasarul Ahkaam urdu, pg#177+180} 5.{Ref:Rehber e Muazzam Myed Ali Khamenae, http://www.leader.ir/tree/index.php?catid=52 }. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.