Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqae sistani 
Question salam..mera do sawaal h: 1) kia agr asar aur isha ki namaz se pehle aqamat ada kr di jae o sahi hoga ya phir usse pehle zuhr ya maghrib mai azan aur aqamat dno dena zaroori h? 2)kia aap mjhe wajib hijaab ki sharait bata skte h? agr koi aurat abaya ya coat na pehne lekin apne aap ko dupatta se mukamal dhanp le to kia yeh jaiz h? aur agr uska libas colored ho to kia hukm h? kia hijab mai jagah k hisaab se uska andaaz badla jaskta h? maslan market area mai abaya pehn li jae aur ksi k ghr jana hot dupatta pehn lia jae....pls mjhe iska answer zaroor de ga 
Answer 1)Rozana ki wajib namazo se phele azan aur aqamat khena mustahab hai. 2)Tamaam surato me jab k namazi mustarak waqt rakne wali do namazo(zohar aur asar, maghrib aur isha ) ko aik k bad aik foran ada kare to agar phele namaz k lie azan kehi ho to dosere namaz k lie azan saqit hai(yani na de). Maslan agar zohar k lie azan kehi ho to asar k lie azan nahi dai aur agar maghrib k lie azan kehi ho to isha k lie azan na dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 903, 909) 3)Aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya is mard ko hath aut chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib ahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2399) 4)Rangeen libas mai aurat apnay khad o khal(look) ko chupanay ki shart k sath rangeen libas pehan sakti hai aur aurat ka har zinat ko chupana wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 142,pg # 64)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.