Answer |
1)Agar aisi filmain behayai par mustamil na hoon to dekhna jaiz hai lakin shahwat aur haram mai mubtila honay ka khof na ho.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalat, part # 1, sawal # 183, pg # 90) (Khuda aap ki tawfiqat mein izafa farmaye).
2)Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay. 8 rak’at naflah e shab ki niyat say, 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azan tak baqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azan k qareeb perhi jay. namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jay tu raja e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jay. or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay, ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay. namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 753,761)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|