Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question islam mei hath utha k dua krnajaiz hai ya nai 
Answer Islam main hath utha ker dua kerna jaiz hay hay or balkeh ahsees main aisa kerna behter biyaan kia gaya hay, riwayat hay k hazrat ali a.s ne fermaya k jab tum main se koe shaks farigh ho tu dua k liay apnay dono hath aasam ki taraf buland karay, tu mulk e saba k aik rehnay walay ne pocha ya ammeral momineen kia Allah har jagah maujood nahi hay? Fermaya haa, os ne kaha phir aasman ki taraf hath Q uthaya jay? Aap a.s ne fermaya kia tum ne Quran ki ye ayat nahi perhi “or tumhari rozi jiska tum se wada kia gaya hay wo aasman main hay{sorah e zariyaat ayat#22} tu jahan rizq hay waheen se tu rizq talab kia jay ga or Allah ne aasman se hi dainay ka wada kia hay.(Ref: sheikh sadooq ki kitaab Ilalul sharaae, part#2, baab#50). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.