Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name bashir hussain najfi 
Question Aoa?sir kia talaqe bain k bad wapsi k lie halala zarori hai? 
Answer 1-Talaaq e baain ka matlab ye hay k talaq k baad merd ye haq nahi rakhta k apni aurat ki taraf ruju karay yani baghair nikah k dobara osay apni bivi bnalay or is ki 5 aqsaam hain.(Ref : TauzeehulMasail Ayatullah Basher Najafi masla # 2524) 2-Agar koe shaks apni biwi ko mukammal shara’it k mutabiq 2 mertabah talaq day ker in 2 talaqo main her aik talaq k baad oski taraf ruju kerlay ya osay 2 mertabah talaq day or her aik talaq k baad os say nikah karay ya aik talaq k baad ruju karay or dosri talaq k baad nikah karay tu teesri talaq k baad wo aurat os merd per haram hojaay gi.liakin agar aurat teesri talaaq k baad kisi dosray merd say nikah karay tu wo 5 shara’it k saath pehlay merd per halaal hogi yani wo merd os aurat say dobara nikah kersakay ga.(yani halalay k baad shadi ker sakay ga).( Ref : TauzeehulMasail Ayatullah Basher Najafi d.b. masla # 2529) Note: Talaq e baain ki 5 aqsaam ki hain jin main se faqat aik qisim ki talaq e baain aisi hoti hay jis main halala kerna perhta hay.jaisa k hum ne 2 maslay main biyaan kia hay.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.