Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Aslam u Alikeum; In 2002;I got married with American woman in Lahore.In 2004;she went back to USA and after few months;we had disputes between us and she never came back to Lahore. But we remain in touch with each other on telephone and through emails.Now;we both want divorce.But She lives in USA and I live in Lahore.I can not go to the USA due to visa problem and She does not want to come here in Pakistan.So how can I give her a divorce? Also tell me that we did intercourse in 2003 and since then (6 years) we have not do intercourse with each other;so after divorce;what will be her iddet period? Guide me please; Allah Hafiz 
Answer 1) zarori he k talaq ka sigha sahi Arabi k saath perha jay laikin agar koi mard arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur vakil bhi na bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarie talaq de sakhta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur 2 aadil mard usay sun lain 2) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-65, 2472 ). 2 ) talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ). Note: aap talaq ki mazeed sharait jaannay k liay is link par click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/40.htm , http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/41.htm)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.