Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name AYATULLAH SYED MUHAMAD ALI SEESTANI  
Question 1. AB WINTERS KO MAUSAM START HO GAYAH HAY .TO GAS NAHI HAY AUR HAMMAY COLD WATER SAYWQZU KARNA PARTA HAY.KIYA APP HANDS AND FACE TOWEL SAY DRY KAR SAKTAH HAY WAZU KAY FORAN BAD. 2. MA APNI QAZA NAMAZAY BHI ADA KAR RAHA HOO.MA NAY FAJAR KI ADA KAR DI HAY AUR ZOHAR KI BHI ALKOST DONE HAY. NAMAZ SHAB 3 RAKAT ( SHAFA TWO . WITAR ONE) PARTHA HOO TAQREEBAN 10 BAJAY .KIA TIME THEEK HAY KIYO K MA ABHI STUDENT HOO AUR AGE 24 HAY.KIA APP NAMAZ SHAB ISHA KI NAMAZ KAY FORAN BAD ADA KAR SAKTAY HAY.AKSAR VILLAGE JANA HOTA HAY TO WAHA JAGA BHI NAHI AVAILBLE AUR BAQI RELATIVES KO BATA BHI NAHI SAKTA IS LIYAH UN SAY TAQIYA KIA HOTA HAY AUR NAMAZ KO YA ACHAY AMAL KO MA DOOSRAY K SAMNAY KARNAY SAY SHARAM MAHSOOS KARTA HOO TO KIA APP ISHA NAMAZ KAY BAD FORAN NAMAZ SHAB ADA KAR SAKTAY HAY. 3.LAST 2 YEARS SAY BEMAR BHI HOO ANXIETY KA PROBLEM HAY. HEART RATE BOHAT TEZ HO JATA HAY AUR DOCTORS NAY TENSION KA KAHA HAY. QUESTION YAH HAY K PEHLAY MA ROZA POORAH RAKHTA THAA LAKIN AB IS RAMZAN 1433. HIJRI SIRF 4 RAKHAY BOHAT MUSQIL SAY. AB MERAY OPER QAZA KIA HAY. JAB K MERI EDUCATION ( ACCA ) ABHI COMPLETE HONAY WALI HAY US KAY BAD ARTICLESHIP AUR JOB.ROZA RAKHNA AB MERAY LIYAH BAISAY ZAHMAT HAY. 
Answer 1.wuzu k pani ko tauliya se khushk kerna balkeh kisi bhi cheez se khushk makrooh hay.(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa,part#1, maslah #490) 2. Namaz shab ka awwal waqt mash,hoor qaul ki bina per aadhi raat hay. Ye qaul agarchah ahwat o behtar hay laikin ba,eed nahi hay(yani fatwa ye hay) keh is ka waqt raat ki ibtida se shuru ho or subah ki azaan tak baqi rahay or behtar ye hay keh subah ki azaan k qareeb perhi jay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #761,322) 3)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1674). 4)Agar koe shaks kisi uzr( beemari) ki wajah se ramzan main rozay nah rakhay or ramzan k baad oska uzr door ho jay or wo aaindah ramzan tak amadan rozo ki qaza nah bja lay tu zarori hay k rozo ki qaza karay or har din k liay aik mud( 750gm) ta,aam bhi faqeer e shar,e ko day.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1676) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.