Answer |
Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
1-Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5)
2- Halat e janabat main zaban najis nahi hoti,laikin is halat main khana or peena makhrooh hay, agar hath or monh dhoo lay or kulli kerlay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhoolay tub hi karahiyat kam ho jay gi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|