Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat Ullah sistani 
Question Salam Allah pak Masoomeen A.s k waseelay sy apki Ais Koshish aor logon ki Rehnomayi ka AjaR DY...MAira sawal hai k faraz namaz pehlay parni chaiyay ya sunnat..yani suba ki 2 rakat sunat hai aor 2 farz tho pehlay konsi parain.aor sunat lazmi parni hai k nai. 
Answer Fajr,zuhar or asr ki sunnat namazo ka waqt os waqt tak baaqi rehta hay jab tak k in sunnat namazo ko wajib namazo say pehlay ada kerna mumkin ho,or jab wajib namazo ki fazilat ka waqt khatam honay k qareeb ho tu behtar ye hay k pehlay wajib namaz perhlay os k baad sunnat namaz ko perhay.or isiterah magrib or is terah magrib ki sunnat namaz ka waqt os waqt tak baaqi rehta hay jab tak k in sunnat namazo ko esha k wajib namaz say pehlay ada kerna mumkin ho. or jab esha ki wajib namaz ki fazilat ka waqt khatam honay k qareeb ho tu behtar ye hay k pehlay wajib namaz perhlay os k baad sunnat namaz ko perhay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#757,758) Sunnat namaz parhna zarori nahi,balkeh in ko perna sawaab hay or inko baghair majbori k chorha jasakta hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #752,760). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.