Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat ullah Sistani sahib 
Question janab maira question ya hay kay quran may jagha jagha ya nasihat mojood hay kay yateem ka khayal rakho yateem ki parwarish karo or Ahadees may bhi sarihat kay sath yateem kay sath acha salook rakhnay ka huqam hay magar aik yateem ko dada kay tarqy may say warast qun nahi de jati (maray walid mary dada ki zindagi may he intaqal kar gay thay laiqin mary taya nay dada kay intaqal kay bad mujhay or mairi waldako ghar say nikal dia or sari jaidad apnay nam karli or fatway bhi laia ka yateem ka dada ki jaidad may haq nahi hay or hamary ahly tashi ulma nay fatway bhi diay jin may say mirza yusaf hussain sahib ki tahreer or un ki mohar wali tahreer bhi molana sahib nay di thi. sawal ya hay kay ya tazad nahi hay kay ya to yateem ki parwarish karo ya har cheez say mahroom kardo. 
Answer Agr merne walay ki aulaad uski zindagi men hi intaqal ker jaey to uski us aulad ka Merne wale k tarqe men koi hissa nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 1001, Eidition 1417 hij).Note : Is meeras men Quran O sunnat hi k ehkaam ki bina per aap ka koe huq nahi banta. Or rahi baat k Quran ne yateem ka khayaal rakhne ko kaha hay tu os se muraad ye nahi k agarche aap ka meras men koi haq nahi bhi banta ho to bhi yateem ko meraas main hissa diya jay, balkeh wahaan muraad ye hay k agar yateem ki meraas ho tu uski meraas ki hifazat ki jaey yahaan tak k wo baligh or rashhed ho jaey tu uski meraas os k hawale kerdi jaey or oska maal zulm or ziyadati k sath apnay liay halaal nahi samajh liya jaey. Or mukhtalif maqamaat per yateem k sath husn e solook rakhne ka hokum bhi diya gaya hay laikin ye aik mustahab amal hay nah k wajib.(Surah # Israa # 17. Ayat # 34 http://quran.ksu.edu.sa/tafseer/tabary/sura6-aya152.html) Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.