Answer |
1)Jhoot k baray mai quran ki ayat: Jhoot to wohi log boltay hain jo khuda ki ayaton par iman nahi rakhtay hain. (Surah nahal surah # 16 , ayat # 105)
2)Jhoot k baray mai Hadith: Imam a.s. ka qoul hai k Allah nai tamam burai aur gunahoo k lie talay muqarrar kiay hain in tamam taloo ki chabi sharab hai aur jhoot sharab sai bhi badtar hai. (kafi, jild # 2, pg # 340)
3)Islam mai gali denay ki koi gunjaish nahi hai, Islam to kafiron ko bhi gali denay ka rawadar nahi hai surah anam surah # 6, ayat # 109 mai khuda nai irshad farmaya hai k “Mushrikeen k khud sakhta khudaoo ko gali na do k wo thumaray khuda ko gali dain gai.”
4)Hadees mai hai k “khabardar, logo ko gali na do is sai dushmani janam leti hai”(Wasail us Shia jild # 12, pg # 298)
(Ref : Kitab Moharammat e Islam Pg 159, 216)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|