Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Agar pishap karne k baad mani kharij hoti ho to ye kis waja se hota hai or is problem ko kese thek kia ja sakta hain? 
Answer Mani ko pechan’nay ki 3 alamat hain 1:shehwat k sath niklay yani os k niklnay k waqt shehwat mehsos ho, 2: is k niklnay k bad badan sust ho jae, 3: uchal kar nikli ho. Agar is terah niklay to wo mani ka hokum rakhti hai yani namaz aur doosri abadat k lie ghusl e janabat krna zaroori ho ga. is k alawa Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45, 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.