Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Working in Saudi Arabia. Need following:1-procedure of Gusl e mase mayyat. 2- Procedure for giving ghusl to mayyat. 3- procedure for namaz e maayyat. 4-about waseeyat. pl. pl. pl. send article on my mail address in URDU/ENGLISH. 
Answer 1)Ghusl e mas e mayyat karnay ka tareeqa : Ghusl e mus e mayyat ghusl e janabat ki tarah he aur is k bad wuzu ki zarorat bhi nahi rehti. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah# 519 , 360-365). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/62.htm) 2) Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha he 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me baari k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qarbat ki niyat rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/66.htm) 3) Namaz e mayyat ka tareeqa : Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH) 2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد) 3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT) 4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT) Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT) Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm) 4) Wasiyat : Wasiyat ye he k insan ta,qeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie. Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690) Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/65.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.