Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Ali Al seestani / Ayatullah Hafiz Bashir 
Question AssalamoElaikum din k waqt kaam kaaj k oqat men ager mani ka mamoli sa qatra nikal jay to kya ghusel e janabet ker ferz hy? meny aik Aalim sy pocha ye masala to unhony bataya k is terha jo mani kharij hoti hy usy hum mani nahi nahin kehty mani wo hy jo uchel k nikly or ager nimaz ka waqt nikla ja raha hy to ap ghusel e janabet k baghair namaz pereh sakty hain. me apna shak door kerna chahta houn. Wassalam Ali Raza  
Answer Mani ko pechan’nay ki 3 alamat hain 1:shehwat k sath niklay yani os k niklnay k waqt shehwat mehsos ho, 2: is k niklnay k bad badan sust ho jae, 3: uchal kar nikli ho. Agar is terah niklay to wo mani ka hokum rakhti hai yani namaz aur doosri abadat k lie ghusl e janabat krna zaroori ho ga. is k alawa wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45, 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.