Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Muslim (Sunni) 
Question Assalam u Alaikum mera ek frnd he woh ek larki k sath takriban 4 sal se jismani aur roohani mohabbat karta he lekin mere frnd k ghar wale os larki se oski shadi hone nae de rhe or dono ne abhi tak shadi nae ki.. or ab unhe khayal aya he k woh ek boht bara gunah kar rhe thai.. dono boht majboor hen... iska kya hal he? woh dono toba karna bhi chahte hen or ek dosre se nikah bhi karna chahte hen apne ghar walo ko batae bina Q k un dono ka koe sath nae de rha.. woh nikah kese karen? koe aisa hal bataein k kam se kam yeh gunah phir na ho unse.. aur iss surat me kya karna chahye??? 
Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341, 2342). Rishtay k lie chand ki 11 sai 20 tak k darmiani jumay ko bad namaz e asr surah e taha surah # 20 ki ayat no 131,132 ko likh kar pas rakhain or dho kar piay to shadi ho jae gi. (Ref : Naway e Salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.