Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name shadi marrige? 
Question mainay aur ik larkay nai shadi ki court marrige...we had abortion and a misscarrige aswell...laykin humnay nikah nahi kiya.,..hum dono musliman hain...aur muje meri galthi ka ehsaas hai...humnay woo har kaam kiya jo mian biwi karthay hain...laykin jab baath nikah par a e tuu woo nikah nahi karna chatha...woo keh raha hai meri maa nahi maan rahi..uskay parents or sisters ko sab kuch maloom hai humaray baray main ...please kuch advice karain..i dnt know what to do....kiyon kay humari court marrige abhi hai... 
Answer 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2)Nikah main seeghah(nikah k bool) perhna zaroori hay. aurat or merd ka faqat razi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay, or agar khud mard or aurat sigah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2341, 2328-35)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.