Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question (1)mera sawal hai. main ENGLAND mein rahti hon aur mera husband pakistan mein hain. Main un sey talaq lena chahti hon lakin wo muje talaq nahin dey rahe.ab wo PAKISTAN mein hain aur main ENGLAND to kis tarha un sey talaq ley sakti hon. (2)main ney ENGLAND sey SHIRYA CONCIL mein KHULA k liye apply kia. jis k baad SHIRIYA CONCIL ney muje KHULA ka ak CERTIFICATE diya.jab mein dusri shaadi karney lagi to MOLVI ney CERTIFICATE accept nahin kia MOLVI ney kaha is CERTIFICATE per mere HUSBAND k sign nahin hain aur is liye woh is CERTIFICATE ko accept nahin kar saktey. 
Answer Wssalam o alykum, Talaq dene ka haq aap k shohar ko hai ap apne tor per talaq na de sakti hen na le sakti hen or jab tak ap k shohar apko talaq nah den tab tak ap unki biwi hi rahengi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472 2367 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.