Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question hamai yaqeen he ke sab banko mai sodi muamela hota he. ab kia bank mai paisai sirf hefazat ki niat se rakhna jayiz he? kia ye gunah par madad nahi hoga?  
Answer Ye baat durust nahi hay k bank k tamaam kaam sood per mushtamil hotay hain.Balkeh khuch kaamo main sood ka ta’al’luq hi nahi hota maslan school fees, electric, Gas and telephone bills ki raqam wusool kerna. 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.