Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah sistani  
Question Kiya hum madina mai carpets par sajdah kar sakhte hen ?? (madina k ) 
Answer Jaha insan k lye taqiya karna zaroori hai, waha wo qaleen ya is tara ki cheez per sajda kar sakta hai aur ye zaroori nahi hai k namaz k lye kise doosri jagha jay ya namaz ko is lie dair karay k ise jagha per taqiya ka sabab khatam hone k baad namaz ada karay. laikin agar isi maqam par chatai ya kisi doosri cheez jis per sajda karna sahi ho, agar wo is tara sajda kare k taqiye ki mukhalfat na hoti ho to zaroori hai k phir wo qaleen ya is se milte julte cheezo per sajda na kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1059) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.