Answer |
Ikhtiari halat mai wajib namaz ka torna ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai laikin maal ki hifazat aur jismani zarrar sai bachnay k lie namaz tornay mai koi haraj nahi hai bal k wo tamam deeni aur dunyavi kaam jo namazi k lie ahm hon un k lie namaz tornay mai koi haraj nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1146)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |