Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name dnt knw 
Question kya farx namaz mein imam k pechay kch parhna chahiye ya chup rehna chahiye 
Answer 1)Muqtadi(imam jamat k pechay namaz perhne wala) namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho to zaroori hai k he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zaroori he k aahista perhay. 2)Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajay zikr e ilahi or dorood perhay. (note : baqi puri namaz muqtadi ko khud parhna ho gai.)(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.