Answer |
Surah raad surah # 13 ki ayat # 25 mai khuda irshad fermata hai k jo loog rishtay tohr laitay hain jin se rishtay jorhnay ka hukum dia gaya hai un k lie lanat aur bad tareen thekana hay. is k alawa surah Muhammad surah # 47 ki ayat # 22 aur 23 mai irshad farmata hai k “ Kia tum sai kuch door hai k tum hakim bano aur zameen mai fasad phelanay aur apnay rishtay natay ko torh do. Ye wohi log hain jin par khuda nai lanat ki hai. aur in k kanoo ko behra aur in ki aankhoo ko andha kar dia hai. ” Update on dated 30-03-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |