Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah sistani d.b. 
Question KHUMS GHAR ME KIN -KIN CHIJO PAR WAJIB HAI TAFSIR SE BTAAE, 
Answer 1)Jo samaan kise shak ne saal bhar istemaal karne k lye apne munafay se khareeda ho agar saal k aakhir me us me se khuch bach jaay to zaroori hai k us ka khums de aur agar khum us ki qimat ki surat me dena chahay to jab wo samaan khareeda tha us ki qimat ziada ho gae ho to zaroori hai k saal k baad jo qimat ho us k hisab sai khums dai. 2)koi shak khums dainay se phele apne munafay me se ghar k istemal k lye samaan khareede agar is ki zaroorat munafa hasil hone wale saal k baad khatam ho jay to zaroori nahi hai k is ka khums dai aur agar doran-e-saal is ki zaroorat khatam ho jay laikin wo samaan un cheezo me se ho jo umooman aainda saalo me istemaal k lye rakhe jate ho jise sardi aur garmi k kapre to is per khums nahi hota. is surat k ilawa durain saal agar is samaan ki zarorat khatam ho jaay to ehtiyat-e-wajib ye hai k is ka khums de.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1750-51)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.