Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Kia istanja k bagair wuzu ho jata hai? Aur shaadi ki pehli raat ko tareeka 
Answer 1)Jee han agar aza e wazoo pak hon to wazoo ho sahi ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 275-278) 2)Biwi k sath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) 3)Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, maslah # 4) Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.