Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name khulaa 
Question aslam.o.alaikum: janab mene apni wife ko gusse men aa k call pay teen bar tallaq di or call band krdi meri taraf say mere maa or baap nay suni.uski bht si wajohaat thi shadi say 2 sal pehle say hum sath thay or shadi 1 month pehle mere han beti huwi hy karachi men men wahan say ho k aya hun wife wahin hn..wo hamesha mujh say larti jhagrti thi galian deti thi mene 1 sal or kuch mahinay huwe hain hamari shadi ko mene bht koshish ki par wo nhi sahi huwi shaid use mujhe chorna tha uska mind bna huwa tha har choti bat par uske ghar walon ki call ati thi or wo usko karachi bula lete thay..mukhtasar ye k bht si batain thin men bardasht kar raha tha abhi wo karachi men thi men yahan aya to wo call pay ksi say bat krti thi mene call history dekhi or gusse men aa k usko call ki apne walid k no say mene kaha btao kis say bat krti ho ye no ksi ristedar ka hy to bta do warna men tumhain chor raha hun wo nhi bta rahi thi ulta mujhe kaha men nhi krti bat or call kat di mene dubara ki or usse gusse main pocha usne kaha mujhe nhi pata to mene gusse men aa k call pay 3 bar tallaq di.. kiya meri tallaq hogayi or meri beti abhi huwi hy wo 1 month ki hy..koi acha mashwara dain plz..ALLAH APKO ISKA AJAR DEGA 
Answer ye talaq batil hai q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.