Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Mohammad Hussain Najfi 
Question salam un alaikum Please tell me kay namaz e fajr ka awal waqt kiya hey aur aakhir waqt kiya hey .Agar sooraj subha 6:59 per talooh hota hey to kis waqt tak namaz e fajr aada ker laini chahye. 
Answer Subah ki azaan k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi ooper uthti he jise fajar e awal kahte hein jab ye safaidi phail jaay to wo fajar e doum aur subah ki namaz ka awal waqt he aur subah ki namaz ka akhri waqt suraj niklne tak he.subah ki namaz ka waqt e fazilat fajar k waqt say os waqt tak hay k jab subah aasmaan per zahir hojaay. (Ref : tauzeehul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 729) Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay.(Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part # 1,maslah # 504). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.