Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani 
Question Salam mera swal yeh ki agar hm najis hogai sex ki wajah se aur waqt namaz itna karib hai ki gusl ka time nhi to is surat mei tayamum kaisa kiya jay sakta hai plz tayamum ka tariqa bhi btaiyega 
Answer Jab waqt itna tang ho k agar ghusl kar lain to sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad perha jasake to zaroori hai k tayammum kare. Tayammum me 3 cheezain wajib hain : 1)Dono hateliyo ko aise cheeze per marna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehtiyat e lazim ki bina per dono hath aik saat zameen per marne ya rakhne chaheay. 2)Dono hateliyo ko puri peshani per sar k baal ugnay ki jigah se eyebrow aur naak k balai hisse tak phairna aur isi terah ehtiyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hateliyo ko phairna. 3)left hateli ko right hath ki tamam pusht per aur is k baad right hateli ko left hath ki tamam pusht per phairna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 668-690)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.