Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sawal ka jawab lazmi dain urgent 
Question aslam o alikum mera sawal yeh hai k mein jab b namaz pahrta hun vozu kar k namaz k leyeh khara ho jata hun or 1 ya 2 rukat pahrnay k baad gandi huwa nikal jati hai kia namaz toot jati hai yani k vozu b namaz pori nai hot es se mein boht tenshsan me hun plz sir es ka aghr elaj b ho tu bata dain ap ki meherbani ho gi jaldi  
Answer Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.