Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name malomat 
Question sharab kis ayat mean haram ha or kio haram ha  
Answer 1)Quran mai bohat sai maqamat par sharab k haram honnay k zikr moujood hai. 1)Surah e maida surah # 6, ayat # 90 aur 91 mai hai k “iman walo sharab, juwa, but, pansa ye sab ganday shaitani aamal hain lehaza in sai perhaiz karo ta k kamiabi hasil kar sako. Shaitan to bas ye chahta hai k sharab aur juway k baray mai tumharay darmian bugz aur adawat paida kar dai aur tumhain yad e khuda aur namaz sai rok dai, kia tum waqaen ruk jao gay.” Is k alawa surah baqra surah # 2 ayat # 219, surah Muhammad surah # 47 ki ayat # 15 aur is k alawa surah yousuf mai bhi sharab ka zikr aya hai. 2)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.