Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name student 
Question mra sawal ye hy k. Ye jo ham dunia ke taleem prhty hn. Jsy k chemstry,phys, math wgra kea ye be us ilam myn shamil hy js k hasil krny ka huqum r sawab h. 
Answer Jis Ilm ka hasil krne ka hukm diya gaya hai ya jis ilm k hasil krne ka sawab ka kaha gaya wo ilm-e-deen hai yani aysa ilm k jis k na seekhne ki waja se insane kisi gunah men mubtala horaha ho sharae masaail men b yehi btaya jata hai k mukallaf ( wo shakhs jis per shari zimedariya wajib hote hai ) k liye wo tamam masail (ilm) seekna lazim hai jin k bare me ahtemaal(use andesha)hai k na seekne ki waja se khuda ki maseyat(ghuna) me mubtela ho sakta hai , yani kise wajib ko tarak karne ya kise haram ko anjaam dene k murtakib ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 9) Note: Han Albatta wo dunyavi uloom jinka ane zikr kiya agr ap inko khuda ki khushnudi or insaniyat ki falah-o-bahbood ki khatir hasil kren to is men sawab hai (jese doctor ka ilm-e-tib b seekhna take is k zariye se insaniyat ki khidmat kr sake)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.