Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Syed Ali Hussaini Sistani 
Question Salam - Taimum agar ghusal k badlay ho aur aik waqt (fajar) k baad doosri namaz (Zuhr) tak : 1- Agar dosri namaz tak pani na milay toh kya dobara taimum karna hoga Zuhr ki namaz k liyah (mubtilat e wazoo na hoa ho). 2-Agar pani mil jayee Fajar k baad toh kya (taimum karliya ho) toh zohar kay waqt ya uss sai pehlay ghusal bhee karna hooga ya ghusal ki zaroorat nahi hoogi yani Taimum kafi hoga ghusal kay badlay main. Toozi main hai k jab sabab e taimum khatam ho jayee to taimum batil hojata hai. 
Answer Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna paray tu zarori hai k pani khareed kr gusal anjaam day. Jo shaks pani na milnay ki wajah say ya kisi aur wajah se tayam,mum karay tu phir sabab e tayam,mum khatam ho janay per tayam,mum batil hojata hay.(yani agar zohar tak pani nah milay aur koe mubtilaat e wuzu aur ghusl nah huwa ho tu osi tayam,mum say namaz parh saktay hain laikin agar fajr k baad jaise he pani mil jaey tu tayam,mum toot jaey ga) or ghuls ker k namaz perhay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #638,709). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.