Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Janab Mai ye jaanna chahta hu nikha ki raat hum bistri se pehle meher maaf karaana, ya dena , ya yeh kehna zaroori he meher ki rakam abhi nahi he baad me de donga zaroori he , kisi se suna tha agar aisa nahi kara to humbistri or shayad nikha bhi haraam he 
Answer Nikah me mehar ka moiyan kiya jaay aur nikah k baad biwi apne shoar ko apna mehar maaf bhi kar sakte hai . laikin agar biwi ne apna mehar shoar ko maaf kar diya to phir dobara us ka mutaalba nahe karsakte. Agar daami nikah perhte waqt mehar dene k liye mudad moiyan na kiya jaay to aurat mehar lene se phele shoar ko jima karne se rook sakte hai.is baat se faraq nahe perhta k shoar mehar dene per qadirho ya na ho.laikin agar wo mehar lene se phele jima per razi ho aur shoar us se jima kare to baad me wo shariy waja k beghair shoar ko jima karne se nahe rook sakte. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2333, 2384) ( jaded masail. Jild: 4.pg: 77). Update on dated 24-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.