Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name dont know 
Question Asallamualikum ap se ek sawal puchna ta agar koi larki(girl) shadi na karna chahy to is k liyee kia gonah hy islam k mutabik.. kindly send me the detail in the light of hadis and quran 
Answer Shadi karna un mustahabat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada takeed ki gae hai is lie Rasool e Akram s.a.w.w. nai farmaya hai k “Jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai.” is k alawa aur bhi be-shumar hadees moujood hain jin mai shadi karnay ki takeed ki gae hai laikin Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai fail e haram mai mubtila hota ho os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.