Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Mutjahid 
Question Assalamoalaikom.. mera sawal ye he k ghusal k doran agar hum ne ghusal ka kuch hisa mukamal ker liya ho .. jese k sar or gardan dho li ho or jisam dhotay wakat hawa kharij ho jaye to kya dobara se pura ghusal kerna pary ga? or nimaz k doran baaz okaat insaan ko mehsoos hota he k hawa kharij honay wali he to os se wazo tot jata hai? 
Answer 1)Is surat mai k ghusl k doran hawa kharij ho jae to is ghusl ko chor kar k new ghusl karna zaroori nahi hai bal k apne is ghusl ko mukammal kar sakte hai. laikin phir ehtiyat e lazim ki bina par wazu karna bhi zaroori hai. 2)Agar koi shaks shak kare k us ka wazu batil hua hai ya nahi to ose ye samajna chehay k os ka wazu baqi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 384, 299 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.