Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani 
Question salam! Aj se 6 saal pehlay meray Parents mein Seperation hogaee thi talaaq nahi hogaee thi. Main shru say he apni dadi k pass rehti thi or meray parents alag city main thay mery behn bhai k sath. halaat nazuk thay or main ghar ki sb se bari thi to main apni Ammi ko or behn bhai ko apne pass bulaliyah, Abbu k sath koi nahi rahna chahta tha kiun k Abbu gussay k bohat taiz thay. 2 saal k baad Ammi bhi humko chor k kahin chali gaee or dusri shadi karli (without Sharaee Talaq). ab wo Pachtaa rahi hain - kia humko unsay baat cheet rakhni chahye ? pura Khandaan is baat k khilaf hai k agar ammi ne koi contact ki to ye theek nahi hoga. 
Answer 1)Shohar dar aurat k lie os k shohar ki moujoodi mai doosri shadi karna haram hai aur nikah nahi ho ga bal k ye zina ho ga laikin ye aurat apnay pehlay shohar par haram nahi ho gi, is aurat ko chahey k toba aur istegfar karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366-7) 2)Qat e rehmi karna haram hai. Agarchah wo reham(qareebi ristedar) tarik us salat(namaz na parhta ho) aur sharab khor ho aur baaz deeni akham ko ehmiat na deta ho. Hamaray Nabi s.a.w.w. nai farmaya k fazail mai sab sai afzal ye hai k jot um sai qate reham karay tum os sai silah reham karo. Jo thumay mehroom karay osay ata karo aur jo tum par zulm karay osay moaf karo. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 296 pg # 173) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.