Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question kesse be namaze ko namaz parhane ki leye kya karna chahiye plllsssss answer  
Answer 1)Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shaded tar he. Is buniyaad per agar koe apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be-ehtiyaati aur be-baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat de. Lakin baap aur maa ki nisbat ehtiyaat e wajib he k narmi se un ki rahnuma’e karay aur kisi bhi waqt un k saamnay sakhti se pesh nah aay. 2)Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1)gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2)Zabaan say waaz o nasihat kerna 3)Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh ibtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2011)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.