Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Asslam o ALikum Muffti sahab meri umer taqreban 19 sal hai mera masla ye hai k meri peshab ki nali se pishab k qatry niklty hain kabi k bar lais dar b nikalty hain pishab k qatry khasosan ek us waqt jab nahaty waqt jhukta hun ya bethta hun or jab wuzo k doran paon dhony k liye apny pao WASH BASIN tak uthata hun tab pishab k qatry bahar a jaty hain jis se wuzo mukamal nahi ho pata sawal ye hai k nahany k doran jab me jhukta hun to qatra bahar a jatta hai jab jab thorra sa b jhukun ya uthon bethon qatra bahr nikal ata hai ager esy me me ghusal pora kar k wahSroom se bahar a jaun to kia mera ka ghusal mukammal ho jay ga? 2-> ise traha mera wuzo mukamal nahi ho pata lekin me ek bar pora wuzo kar lun to kia mera ka wuzo ho giya? or mufti sahab jesa k mera wuzo mukammal nahi ho pata jab tak mera ka maslah theek nahi ho jata... kia me ise tarha incomplete wuzo se namaz qaim kar sakta hun? mujhy is traha incomplete wuzo se namaz parrhny par ghunah to nahi ho raha?? mera doctor se ilaj b chal raha hai jab tak masla theek nahi ho jata kia me namaz parrh he nahi sakta?? kun k qatry nikalny par mera underwear ganda ho jata hai to kia aesy me me pak reh raha hun?? PLEASE IS MASLY K BARY ME SHARIYAT KIA HUKAM DETI HAI MAIL K ZARIYE YA ISE MESSAGE K REPELY ME HE BATA DIJIYE TV PAR NA BATAIYE GA ME KAFI PARESHAN HUN MUJHY KIA KARNA CHAIYE..? 
Answer 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) Wazifa : Surah e zumar surah #39 ki ayat 67 likh kr apni qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pi lain tou qatra qatra pishaab ki bemari khtam hojaegi.(ref:book nawaey saleheen pg#329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.