Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera question hai k jb main peshab krta hun to kuch dair tk drops girtay rehtay hain kafi arsa pehlay ye bhot zaida tha problem hr waqat girtay rehtay thay koi solution batayen plz plz plzzzzy 
Answer 1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) 2)Agar peshab k qatray aanay ki beemari hai to ap k lie wazifa bhi bayan krtay hain, Surah e zumar surah # 39 ki ayat 67 likh kr qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pilain to qatra qatra pishaab ki bemari khtam ho jaegi. (Ref : book nawaey saleheen pg # 329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.