Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name talak 
Question Asalamualaycum mera name Irfan he meri shadi meri wife aur meri marji se hui thi but meri wife ki family wale agins the to mere sasural walone meri wife ko dara dhamka ke use majboor ker ke kaha ke talak mang aur muje bi daraya aur majboor kiya talakh dene ko is talakh se meri wife aur me khush nai he hame janbuj ker alag kiya gaya he kya hamara talakh hua kya ? ham dono 1 dusre se bahut mohabaat kerte he aur kya dhamkiyo se hua talakh talakh mana jayega ???? hamara dil nai maan raha he iss talakh ko plsssssss muje ans jaldi dena......  
Answer Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.