Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sunni 
Question Assalam o Alaikum Warahmatullah w Barakatuhu Main kafi dino se zof_e_meda ka shikar ho gaya hoon, jiska bura asar yeh ho raha ki namaz nahi padh pa raha hoon aur kamzor ho gaya hoon, meri umar 53 year hai. Meri khas guzarish hai ap mere liye dua bhi kar den aur wazif bata de. Ek bat aur bhi apko bata doon ke mai namaz bahut kushu kuzu se padhta tha. Lekin Ajjkal aisa nahi ho pa raha hai. EJAZ 
Answer 1)Nizam e hazima ki hifazat k lie zaroori hai k saqeel, garam aur zehreeli ghizaoo maslan sharab noshi aur tambakoo aur aisi ghizain jo khawaish e shehwani ko ubharti hai perhaiz kia jae. Is k alawa ghiza k awqat ka khas khayl rakha jae. (Ref : Tib e Islami pg # 201) 2)Insan ko khayl rakhna chahea k namaz jaldi jaldi na perhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rehay aur khusho aur khuzoo aur waqar sai namaz perhay aur ye khayal rakhay k kis hasti sai kalam kar reha hai aur apnay aap ko khuda ki azmat aur buzrgi k moqablay mai haqeer aur na-cheez samjhay. Agar insan namaz k doran puri terh in batoo ki taraf motawajah rehay to wo apnay aap sai be-khabar ho jata hai jaisa k namaz ki halat mai Hazrat Ali a.s. k poun sai teer nikal lia gya aur imam a.s. ko khabr tk na hui. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, namaz k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.