Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question AssalamuAlekum! Dear Sir mey ek Married hoon, Mujhey Maloom Karna hey k Mujhey Qatron ka marz hey, mey so ker uthoon or kapron per koi nijasat na ho lekin ye shak hey ya yaqeen hey k qatra aaya ho ga to kya gussal wajib ho ga? Kya sirf Khayal anet se ya biwi se Kiss kerney se Qatra aaey to Gussal wajib ho ga? 
Answer 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. i) Shewat key saath niklay ii) Uchal ka nikley iii) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. 2) Jo ratubat shawat ubharnay per ya aurat k sath chair char k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta he wo paak he aur os se ghusl bhi wajib nahi hota.aur na hi wo wuzu ko batil karti he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 , 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.