Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah seestani 
Question Assalam u alikum.agha sahab kia ahle sunnat ke peeche farz namaz pur sukte he ?aur neeyat farz ki ho gi ya farada ki?aur maghrib ka time hamara late he to kia maghrib ki namaz pur sukte he ahle sunnat ki jamat ke sath ya nahi?aur me jaha rehta hu waha hamari apni masjid bohat hi zyada faasle pur he.jaha tuk routine me jana impossible he.aur ahle sunnat ki masjid bohat hi zyada kareeb he to me kia farada room me namaz puro ya maire lie laazim he ke ahle sunnat ki masjid me jau. 
Answer Gee han parh sakte hen, or niyat wohi faraz or jamat ki hogi, lekin maghrib ki namaz nahi hogi q k ahle sunnat wqt se pehle ada krte hen or isi tarah un k sath jumma namaz bhi kjafi nahi hogi, albatta jis tarah furada namaz men apko har chiz khud parhni parhti hai isi tarah ahle sunnat ki namaz jamat men bhi apko qirat or azkar wgera sare khud parhne parhenge halanke niyat jamat ki hi hogi, agr ap shia namaz jamat men kisi waja se shirkat na kr paen to furada namaz ghar men parhne se yehi behtr hai k ap ahle sunnat k sath namaz parhen insha Allah sawab milega.( Ref : Ayat-ul-Allah -Sistani, Jadeed Masaail, Part#4, 1st Edition, Page#181)(khuda apki tofiqat men izafa frmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.