Answer |
Sharab ki hurmat ka hokum aanay k bad sahaba nai ye sawal uthaya k jo logh is sai pehlay pi kar mar gae hain un ka kia hashr ho ga? to jawab mila k agar inhonay taqwa sai kaam lia hai to koi haraj nahi hai aur ye taqwa teen marhaloo par zaroori tha 1: sharab ka hokum aanay sai pehlay baqi haram kamoo sai parhaiz kia ho. 2: sharab ka hokum aanay k bad sharab sai parhaiz kia ho. 3: sharab chornay k bad baqi gunahoo sai bhi parhaiz kia ho ta k naik amal karnay waloo mai shumar ho sakay. (Ref : Anwar ul Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 278)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |