Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question hamare ak jane wale abi shadi hoi he larki phele 5 mah ki hamla thi ab neka b ho gya os ne ab bacha gera dia malom ye karna he os ka neka howa he k nai agr nai to phr kya karna ho ga dobara neka k lie 
Answer Agar ye aurat talaq ki iddat me thi to aur hamila thi to zurari he k waz e hamal tak iddat rakhay. Is iddat ko wafat ki iddat kahtay hein . Aur agar wo aurat talaq ki iddat me thi tab bhi o ski iddat waz e hamal ya isqat e hamal tak he. Aur iddat mukammal honay se pehlay nikah karna sahi nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2474-2485) Agr aurat zina ki waja say hamala thi to ya nikah sahiah hay. Agr aurat pehlay say shadi shuda ho to ya nika batl hay aur hemasha kay ley haram hay. Agr auarat idat main ho aur ya talq rajai ki waja say ho to ya nika batl hay aur hemasha kay ley haram hay. Agr auarat idat main ho aur ya talq rajai ki waja say na ho to ya nika batl hay aur idat Katham hony ky baad dobara nikah karsakta hay.(Ref. Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Minhaj us Salaheen v.3 pg. 61 to 62 masala 180 to 184) Hamela aurat ki tallaq ki iddat bacha pada karny ya asky siqt sy pori hoti hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2478) Hamela aurat ki Wafat ki iddat 4 month & 10 day aur bacha pada karny ya asky siqt main sya jo ziado ho(.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2481) Zina ki koi iddat nahi hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b) minhaajus saliheen,part #3,maslah #566) Bacha girana Haram hay aur bacha giranay waly par iski diat wajab hay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) mulahaqat Masla # 73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.