Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Sir mera question ye hai k aurat par gusal kab waajib hota he?zara detail me jawab de.  
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Aurat k sath jo makhsoos ghusl hain wo 3 hain, in mai sai 1: ghusl e haiz 2:ghusl e istehaza aur 3: ghusl e nifas hai. is k alawa jo ghusl mard aur aurat donoo mai common hai wo 4 ghusl hain, jin mai sai 1:ghusl e janabat 2: ghusl e mas e miyyat 3:ghusl e miyyat 4:wo ghusl jo nazr ya qasam wagira ki wajah sai wajib ho jae. Ghusl e Haiz : Aurat k wo har mahinay khoon ata hai jab wo band ho jae to aurat par wajib hai k namaz aur doosri abadat k lie ghusl krna wajib hai. Ghusl e Istehaza : is mai bhi aurat par ghusl krna wajib hai. Ghusl e nifas : Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. is k bad ghusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-510)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.