Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AOA sir mara masla buhat bhambgir hay plz islami tariky ky mutabik our aik larky ky bap honay ky mutabik jawab digiy ga marai shadi hoye 1 sall ho gia hay shadi say pehly mari bivi ky kisi our ky sath najaiz talkat thy wo na mugy na ous ky ghar walo ko pata tha lakin mugy pehli rat hi pata chal gia tha ky mari bivi thik nai hay many kafi payar muhabat say ousy pocha lakin wo mani nai wo kehti rai nai sab thik hay asa khuch nai lakin ab mari bati ki paydash hoi hay manay ousy apni bati ki kasam di to ous nay mugy batay ky maray cousin ky sath 1 ya 2 bar asa kia hay ab ap mugy yeh batay ky main ous ka kia karo ab to mari bati bhi hay ous say kia main apni bati apny pas rakh kar ous talak day sakta ho... plz answer me 
Answer Note: ye kaam shadi sai pehlay ka hai k os waqt aap ko ye tekheeq kr letay k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. Albetta agar os nai toba kar li hai to wo pak ho gae hain q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. Aur jahan tk talaq ki bat hai to talaq na dain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.