Answer |
1)Jo ratubat mard shehwat anghais tasaworaat k waqt insan apni sharamgah mai mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. yani agar pehlay sai wazoo tha to osi wazoo k sath namaz ho jae gi aur kapray bhi pak rehain gai yani aap os kapray mai namaz bhi parh saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
2)Wazan barhanay k lie: 1-Khajoor ka 1 dana ublay hoay chawal k pani k sath khoob achi terah pees lain phir is main thorha sa pani mila ker chotay bachcho ko 2, 3 mertaba dainay se kamzoor bacahy tandrust or tawana ho jatay hain. 2-Pakay hoay timataro ka taza rus chotay bacho ko din main 2, 3 baar dainay se bachchay sheet mand o tawana hotay hain. (Ref: Book, Tandurusti aap k hath main,published by aalamgeer welfare turust, pg#39). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|