Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question Assalam o Alaikum. Janab mera sawal yeh hay k meri shadi ko 6 saal ka arsa guzar chuka hay magar meri koi olad nahi hay or na hi kabhi wife ko pregnancy hoi hay wife or main nay bohat say doctor or hakeem ko dikhaya hay kuch arsay elaj karne kay baad kehtey hain k sab normal hay jab ALLAH ki marzi hogi tab olad ho gaye gi, Aap hi mashwara den ham log kia karen khas tor per may kia karon kion k meri wife aab mazed ilaj say tension m aa jati hay or kehti hay k may nay ilaj nahi karana. magar may ALLAH KI REHMAT SAY MAYUS NAHI HON. 
Answer 1)Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). 2) Imam a.s. farmatay hein k jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.