Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AOA! Respected sir, Me ne ap se yeh puchna tha k ,,, mujhy raat ko ehtlaam ho gaya tha aor subah uth k me ne ghussal bhi kiya aor jab din k waqt mein washroom gaya to mujhe aisa laga k din mein koi 2/3 qatray aye hain ............. ab office mein to me ghussal kar nahi skta tha to Phir din mein me ne jo kuch khaya Piya wo Haath dho kr khaya Piya to kia me ne iss halat mein jo kuch khaya piya wo mere liye haram/makrooh tha ??????????? plz iss silsiley mein meri rahnomaiye kijiye  
Answer 1)Is surat mai ye dekhna pray ga k aap nai ghusl krnay sai pehlay peshab kia tha k ya nahi agar peshab na kia ho aur ghusl k bad peshab k makhraj sai jo ratubat kharij ho jis k baray mai maloom na ho sakay k peshab hai k koi aur ratubat to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur dubara ghusl krna ho ga aur agar peshab kr lia tha to wo mani nahi ho gi aur ghusl dubara wajib nahi ho ga. 2)Agar wo ratubat mani ho to hath moo dho lia ho to khanay pinay mai karahiat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 347, 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.