Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question agr hum kahe bahr mulk ja rhyn hon or wahan rat k wqt pohnchyn Namaz ka wqt bhe ho, tou kesay pta chlay ga k Qibla kis taraf hai? pls tell me  
Answer 1)Jo shakhs namaz parhna chahae to zaroori he k qible ki simt ka tai’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki simt k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aadil aadmiyo ki gawahi jo hiss(sence) ya is jeisi kisi cheez ki buniyaad per qible ki simt ki gawahi de. Ya musalmano ki masjid k mehrab ko dekh kar ya momineen ki qabroo ko dekh kar ghuman paida ho us k mutabiq amal karay ya tk k agar kisi aisay fasiq ya kafir k kehnay par jo science qawaid k zarie qiblay ka rukh pechanta ho to kafi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770) 2)agar kisi k pas qiblay ka rukh mutain karnay ka koi zarya na ho ya koshis k ba wajood is ka ghuman kisi aik taraf na jata ho to is ka kisi bhi taraf rukh kar k namaz parhna kafi he. Aur ethiyat e mustahib ye he k agar namaz ka waqt wassie ho to charoo taraf rukh kar k namaz parhay yani char bar namaz parhay. Aur zohar asar ya magrib isha parhna chahta ho to pehlay zohar ki namaz charoo taraf parhay is k bad asr ki namaz charoo taraf parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 770-75)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.